![]() |
|
#1
|
|||
|
|||
|
Tzaad
YaadoN kay bawaNdar say uth rahaiN hai Takh_yul ki sar zamiN pay Barq bau kay chamkta hai teri afsurda haNsee ka chehra Honay lagi hai teray naaz-o-karam ki rimjhim Meri takhleeq maiN main woh pehli barsaat si soundhi khusbu aa rahi hai Tanha bahut tanha hai dil teray jaanay kay baad SaMbhla nahi wajood shorishoN maiN bhi doob jaanay kay baad Zamanaa to samjhtaa hai isay shauq-i-fitoor mera Har chahray maiN agar dhooNdta hooN teray wajood ki parchaiNaN Aur uqta kay uth aataa hooN phir apnay khyaaloN ki duniya maiN Siyaah aur siyaah ho jaati haiN phir meri tanhaaiyaaN Ab tu bani hai kisi ga_ir ki zindagi ka unwaaN Ab teri raataiN uski baahoN main basi rehti haiN Ab na us ulfat ki haqeeqat baqi Phir bhi nadaan umeedaiN dil maiN baniN rehtiN haiN Puchta hooN maiN aksar apni talkh raatoN say Ki kya hai aqaayud-i-mehabbat ki asaas Kya hai yeh rasoomaaat maiN lipta ik shuq-i-bekaar Kya hai yeh ishq kay naam pay paltay huay pazmurda ahsaas Kya hai yeh mehabbat yeh mehabbat ki tashheeer Kadam bar kadam samjotoN ki besood taameer Kya hai yeh jis-o-rooh kay alag alag meyaar Kya hai parstish pay palta yeh falsafa-i-taqdeer Thehar ab zauq-i-talab thehar Aaj na yeh baat baat uthaa Aaj ki raat barstaa hai gujishta mehabbat ka jaadoo Aaa ki raat kuch na keh kuch na sunaa ---------------- Tzaad- takraav Takh_yul-imagination, Barq-bijli, Afsurda-udaas, Takhleeq-creation(rachna),Shorish-shor shraabaa Shauq-i-fitoor- pagalpan ka shauq, Aqaayud-i-mehabbat- prem kay prati vishwaas, Asaas-foundation,rasoomat-rasmaiN,pazmurda-adhmaray Tashheer-advertisment,besood-useless,tameer-nirmaan, Gujishta-beeta hua |
|
#2
|
|||
|
|||
|
Okz give your feedback.
|
![]() |
| Thread Tools | Search this Thread |
| Display Modes | |
|
|
Similar Threads
|
||||
| Thread | Thread Starter | Forum | Replies | Last Post |
| Brijinder"Sagar" ka Kalaam | Brijinder | Romantic Shayari | 33 | 09-04-2009 08:27 PM |
| Tzaad | Brijinder | Romantic Shayari | 0 | 07-29-2007 10:47 PM |