![]() |
|
#1
|
|||
|
|||
|
Aaj Ki Raat
Aaj ki raat yaadoN kay kuch mehmaaN aanay waalay haiN Aaj udaasi nay phir chera hai saaz Aaj dard phir kuch sunaiga Tanhai nay baaNdhay haiN guNghru Aaj waqat bhi thahar jaiga Chand ! apni chandni idhar rakh jaanaa Aanay haiN aaj kuch bhoolay huay say chayhrey Ashqo ! aaj tum bhi ji bhar kay beh lenaa Behal jaayN aisay hi shayad ahsaasoN kay sfeenaiN NaghmoN !Aaj kadam saMbhal saMbhal kay rakhna Aaj ki raat khwaaboN kay naam hai In lamhoN ka hai chalan aisaa Ki aaj tarpaygi takhleeq lefz dar lafz Khaamoshi ka zehar subko pilaayaa jaigaa Aaj ki raat zindgi pay bhaari hai Aaj jalaiNgay khwaahishoN kay alaav HaNstay haNstay hoga aaj umeedoN ka qatl Meri zindagi aaj phir mayzbaan bani hai Woh baras jab jazbaat nay li thi pehli aNgrai Us baras ki yaad aaj mehmaan bani hai Woh door ufaq pay uthtay haiN ghubaar MehmaanoN kay qaafily pahuNchnay waalay haiN Dard-I-dil ko saMbhaaluN ab main Ai fazaaoN tum hawaaoN pay likh lena BehoshioN main nazm jo banaa loon ab main ------------------------------ Takhleeq-rachna |
|
#2
|
|||
|
|||
|
Please give your valuable feedback.
Regards |
![]() |
| Thread Tools | Search this Thread |
| Display Modes | |
|
|
Similar Threads
|
||||
| Thread | Thread Starter | Forum | Replies | Last Post |
| Lambi kaali raat | Brijinder | Romantic Shayari | 1 | 12-05-2008 08:18 PM |
| Sohani raat hai hum ko lagao seene se... | itschahat | Romantic Shayari | 0 | 08-08-2007 10:02 AM |
| Mera har din, teri har raat se acha hoga. | itschahat | Romantic Shayari | 0 | 06-21-2007 06:21 AM |
| Teri yaad me saari raat.... | itschahat | Romantic Shayari | 0 | 05-01-2007 07:08 AM |
| Phir se dil dukhane ye raat aaye | itschahat | Romantic Shayari | 0 | 09-18-2006 10:23 AM |