![]() |
|
#1
|
|||
|
|||
|
Kaisa hai yeh dil???
Ab jab toot gayay haiN sub bharam to keh sakta hooN MaiN juda ho kay bhi tujhsay shayud khush reh sakta hooN Ab na tarsayNgi teray liyay nghaaiN meri Ab na jaayNgi teri jaanib raahaiN meri Ab na torayga mujhay teri furqat ka gham Ab na tarpaygi teri liyay baahiN meri Fason-e-gesu tera ab na karayga girftaar mujhay Har din ab na rehaygi teri hasrat-e-didaar mujhay Ab na hoga mujhay teri is berukhi pay raNj koi Sangsaar na karygaa ab tera yeh gair sa kirdaar mujhay Har ada teri ab na meray alfaaz main dhalygi Tujhay paany ki tamanna na meray khwaaboN main palaygi Ab na hoga aisa meri ziNdgi ka nizaam Ki teray ruknay say rukay aur chalnay say chalygi Kasam to lay nahi sakta maiN is sub ki Koshish ka vaadaa khud say hai zarror magar Kya karuNga kaisay saMbhalUnga kuch to bataay koi Daikhogi kahiN tum ho kar udaasi maiN choor agar? ------------------------------------ Meanings: Furqat-judai, Fasoon-e-gesu--magic of your hair |
![]() |
| Thread Tools | Search this Thread |
| Display Modes | |
|
|
Similar Threads
|
||||
| Thread | Thread Starter | Forum | Replies | Last Post |
| Hotel Ka Khana Kaisa Hota Hai? | itschahat | SMS jokes | 0 | 05-03-2007 06:45 AM |