![]() |
|
#1
|
|||
|
|||
|
Kaisay hua yeh???
Ik waqt tha k mujhsay milnay ki umeed baraa daiti thi teray dil ki darkan Pighal jaati thi tum meri baahoN maiN aakar Bun jaati thi bus mera unwaan-e-sukhan Teri aankhoN maiN umar umar aataa tha pyaar Meray liyay tha teray jism-o-jaaN ka saraa khumaar meri furqat guzarti thi bun kay khizaaN Meri aamad hoti thi teray liyay paigham-e-bahaar Tum k jaisay thi shiddat-e-muhabbat ki saraapaa tasveer K jaisay rati aur gaNga ki mil kar likhi huee tehreer Kehti thi k maiN hooN tumhaari ziNdagi ka haasil Kehti thi k maiN tumhaary khwaaboN ki taabeer Aur sach kahuN k ab galay lagti ho kuch aisay K jaisay ho faqt beetay dinoN ka lihaaz Bataao k yeh hai mehaz meri nighaah ka feraiyb Ya ki hai tark-e-muhabbat ka aghaaz? KyuNki yeh diwaanaa tujhsay paihum israar karay Sirf isliyay phir milnay ka tu qaraar karay Aur main udaas na ho jaoN kahin Bus isliyay tu ab mujhsay izhaar-e-pyaar karay Badhawaas sa "Sagar" yeh tak rahaa Ki kaisay Taa_luk takalluf maiN badal rahaa ----------------------------------- Meanings: Rati-Goddess of sex,Ganga-symbol of purity Furqat-judia, Aamad-my coming(visit),Shiddat-e-muhabbat-intensity of love, Tark-e-muhabbat-end of love Paihum-lagaataar(continous),Israar-nivedan(request) |
![]() |
| Thread Tools | Search this Thread |
| Display Modes | |
|
|