![]() |
|
#1
|
|||
|
|||
|
Shaayar
Shohrat ka nahi saudai shaayar Daulat bhi nahi iska nishaanaa Bus bhatkay hai dil dil ki mehfil k mil jayay koi chehra-e-daanaa Umr apni tehzeeb ko day jaataa hai shaayar JazboN ko neeNd say jagaa laataa hai shaayar Safar-e-shayar kaho ya naam laylo tanhai ka k itna dushwaar hai jeena laal-e-khudai ka Afkaar iskay aadmi kay bhoolay huay ahsaas JunooN iska mehw-e-neeNd main say jaagoN ki talaash Nahi pehchaany parwaazaiN iski daur-e-zamaanaa iska Dariya-e-haazir main hai shayar ik safinaa-e-fardaa Tasleem-e-shaayar hai gar aadmiyat ko pa jay aadmi Muaaf gunaah sub hoNgay gar muhabbat ko pa jay aadmi. ------------------------ ------------------------ Meaning;Daanaa-intellectual(wise),Laal-e-khudai-gem of nature, Afkaar-thoughts,Mehw-eneeNd-in the sleep,ParvaaIn-flights, Dariya-e-haazir-river of present,Safeenaa-e-fardaa-boat of future,Tasleem-e-shayar-recognition of poet |
![]() |
| Thread Tools | Search this Thread |
| Display Modes | |
|
|
Similar Threads
|
||||
| Thread | Thread Starter | Forum | Replies | Last Post |
| Kamjor nazar wale shayar | just_asim | Funny Shayari | 4 | 04-07-2011 03:31 AM |
| Shayar Proposing a Girl | Harmish Shah | SMS Shayari | 0 | 09-28-2009 06:35 AM |
| Shayar proposing a Girl | Harmish Shah | Funny Shayari | 0 | 09-28-2009 06:28 AM |
| shayar nahi hoon | saurabh | Romantic Shayari | 0 | 08-19-2007 04:54 PM |