![]() |
|
#1
|
|||
|
|||
|
Hadd-e-fikr say aagay
Swaal haiN jwaab haiN Khwaab khwaab khwaab haiN Halaal na haraam hai Afqaar kay saraab haiN Hyaat la-jwaab hai Aur sabko na-gwaar hai Hyaat la-hadood hai Par rooh girftaar hai Hyaat khud maqaam hai Aur aadmi khwaar hai Khwaab bhi yaqeen haiN Yaqeen bhi to khwaab haiN Swaal haiN jwaab haiN Khwaab khwaab khwaab haiN ------------------ हद्द-ए-फ़िक्र से आगे (beyond the boundries of thought) सवाल हैं जवाब हैं ख्वाब ख्वाब ख्वाब हैं हलाल न हराम है अफ़कार के सराब हैं (अफ़कार-thoughts)(सराब-mirage) हयात ला-जवाब है और सबको नागवार है हयात ला-हदूद है (हयात-life)(ला-हदूद-beyond boundries) पर रूह गिरफ्तार है हयात खुद मक़ाम है और आदमी ख्वार है ख़्वाब भी यक़ीन हैं यक़ीन भी तो ख्वाब हैं सवाल हैं जवाब हैं ख़्वाब ख़्वाब ख़्वाब हैं ------------ |
![]() |
| Thread Tools | Search this Thread |
| Display Modes | |
|
|