![]() |
|
#1
|
|||
|
|||
|
TalkhiaaN-2
Tu mujh pe karay sang ki baarish MaiN zubaN bhi hilauN to gunahgaar banuN MaiNney banaaya aazaadi ko ahud apna Teri tamn_na ki maiN tera ahalkaar banuN Meri takhleeq meiN nahiN jo shokhioN ke dum To teri nazar meiN koi sukhnwar hi nahiN MaiN afkaar ki hudd se guzar jaaney ka huiN Qayal Aur terey jahan-e-adab meiN maiN koi shaayar hi nahiN Meri zidd ki maiN isay rif_atauN pe bithauN Teri shart ki maiN isay kuch neechay utaar lauoN Shaayri mehaz byaan-o ishq-o-raqeeb-o saaqi-o-jaam nahiN Yeh rah-e-irtaqa-e-insaani hai bus fasun-e-alfaaz ka naam nahiN Daad apnay asha_ar ki isliyey shayud kabhi sun na pauNga KaliyaN nishat-e-tasleem-e-fun ki shayud kabhi chun na pauNga Apni apni jagah "Sagar" hum tum dono hi majboor haiN Main apnay ahud ka hamil Aur teray myaar khud meiN magroor haiN --------------- तल्खियां-2 तू मुझ पे करे संग की बारिश मैं जुबां भी हिलाऊं तो गुनाहगार बनूँ मैंने बनाया आज़ादी को अहद अपना तेरी तमन्ना कि मैं तेरा अहलकार बनूँ (अहलकार-subordinate) मेरी तख्लीक़ में नहीं जो शोखिओं के दम (तख्लीक़-रचना) तो तेरी नज़र में कोई सुखनवर ही नहीं (सुखनवर-शायर) मैं अफकार की हद्द से गुज़र जाने का हूँ क़ायल (अफकार-thoughts) और तेरे जहाँ-ए-अदब में मैं कोई शायर ही नहीं मेरी जिद्द कि मैं इसे रिफ्फ़तों पे बिठाऊं (रिफ्फ़तों-उंचाई) तेरी शर्त कि मैं इसे कुछ नीचे उतार लाऊं शायरी महज़ ब्यान-ओ-इश्क-ओ-रक़ीब-ओ-साकी-ओ-जाम नहीं यह राह-ए-इर्तिका-इंसानी है ( path of human progress) बस फ़सून-ए-अल्फाज़ का नाम नहीं (फ़सून-ए-अल्फाज़-लफ़्ज़ों का जादू) दाद अपने अशआर की इसलिये शायद कभी सुन न पाउँगा कलियाँ निशात-ए-तस्लीम-ए-फन की शायद कभी चुन न पाउँगा अपनी अपनी जगह "सागर" हम तुम दोनों ही मजबूर हैं मैं अपने अहद का हामिल (अहद-principles) और तेरे मयार खुद में मग़रूर हैं (मयार-parameters) ------------------------------- |
![]() |
| Thread Tools | Search this Thread |
| Display Modes | |
|
|