![]() |
|
#1
|
|||
|
|||
|
KEEMIYA
Khuda bhi sochta tha ik din Banaa kar yeh saari khudaai Ki kaisay ik fikr nay rach di Yeh tamaam tilsmee sachaai Ki kaisay khwaabgaahoN ko ghumaan-e-yaqeeN honay lagaa Magar khwaabgaahoN ki haqeeqat bhi haqeeqat hai Yeh traadeed ka dilfaryeb fasoon Sadaaqat bhi fasaanaa hai,fasaanaa bhi sadaaqat hai Yeh rooh-e-takhleeq,khuda sochta thaa Kaisay kaisay pardon main khud ko chupaati hai Vaham-e-yaqeeN to kabhi Yaqeen-e-vaham ban ban kar Ghrift say har baar phisal jaatee hai Aur khuda nay socha--- Yeh saaraa tilism meri ik fikr nay rachaayaa! Magar..magar yeh fikr meray zehan main kisnay basaayaa? __________________ कीमिया (Alchemy) ख़ुदा भी सोचता था इक दिन बना कर यह सारी खुदाई कि कैसे इक फ़िक्र ने रच दी यह तमाम तिलस्मी सच्चाई (magical) कि कैसे ख्वाब्गाहों को गुमान-ए-यक़ीन होने लगा (स्वप्नलोक)(belief of being real) मगर ख्वाब्गाहों की हक़ीक़त भी हक़ीक़त है ये तरादीद का दिलफरेब फ़सून (contradiction) (magic) सदाक़त भी फ़साना है,फ़साना भी सदाक़त है (सच्चाई) ये रूह-ए-तख्लीक,खुदा सोचता था (spirit of creativity) कैसे कैसे पर्दों में ख़ुद को छुपाती है वहम-ए-यक़ीन तो कभी यक़ीन-ए-वहम बन बन कर गरिफ्त से हर बार फिसल जाती है और ख़ुदा ने सोचा --- यह सारा तिलिस्म मेरी इक फ़िक्र ने रचाया ! मगर....मगर यह फ़िक्र मेरे ज़ेहन में किसने बसाया ? __________________ |
![]() |
| Thread Tools | Search this Thread |
| Display Modes | |
|
|