![]() |
|
#1
|
|||
|
|||
|
Yeh khawab jho aab-e-talkh se beh nikle,
Kya yehh khawab kahin aur taKHliiq ho raha hoga? Jho hum kar lete hai khabhi khabhi hasrat, Kya sari aziiyat ka hal raha hoga? Humari masarrat ka sila, ghum se diya jata hai, kya yehi unke mezaj-e-aashiq ka aalaam raha hoga? Haft aQliim mera badal kar, chale apni duniya basane, Abb kya woh apni neeyat badal raha hoga? Iss dil mein sulaag rahi hai aag, Khabhi tho dil ka abb'o taab raha hoga!! Yeh Subh bhi kya haseen hai dhektho yaaro, Phir se kahin Ghuruub-e-aftaab ho raha hoga!!! Ehsaan Last edited by ehsaan : 09-09-2008 at 04:17 PM. |
![]() |
| Thread Tools | Search this Thread |
| Display Modes | |
|
|