Shayari Funny Shayri Romantic Shayari Sher o Shayari Hindi Shayari Urdu Shayri  
web hosting
Go Back   Shayari Funny Shayri Romantic Shayari Sher o Shayari Hindi Shayari Urdu Shayri > SHAYARI CLUB > Romantic Shayari
Register FAQ Members List Calendar Search Today's Posts Mark Forums Read

Reply
 
Thread Tools Search this Thread Display Modes
  #1  
Old 04-20-2008, 10:11 PM
Brijinder
 
Posts: n/a
Default Brijinder"Sagar" ka Kalaam

Twaayuf

Tu bani kisi ghar ki zeenat
Main kisi kothay ki numaish
Tera khwaab hua haqeeqat
Rahi jhooti meri khwaahish

Aurat mujh main bhi thi,haaN,dafnaa di thi ziNda
Meri kahaani ki insaaniyat bhi ho jaayay sharmiNda

Meray khwaaboN ko sool-e-wehshat chraayaa teray ghar kay mardoN nay
Meri majboori ko tamaashaa banaayaa teray ghar kay mardoN nay


MaiNnay bhi tha muhabbat ka paak chaman basaayaa
Meri hasrat bhi thi ki ho koi ik mera apnaa sa saayaa
Magar Pait ki bhookh kay sun kar naalay
Waheshi aankhoN ka sunharaa bharam khaayaa

Lay gayaa yeh mard tera dilaasaa day kar basti-e-ghumnaam main
Phir aayaay humdard aur kitnay,aashnaa karaa gayay is muqaam say

Ab har raat ki dulhan hooN
Har shub nayaa humbistar hai
Yeh to bus jaanay hai dil-e-bismil mera
Ki roz lubraiz-e- zehar nayaa nashtar hai

Tu nasoor-e-tehzeeb kahay mujh ko,main teri hi behan hooN
Bus tu rahi kismet ki ameer,main wehshat ki rehan hooN

Daikhay jo aurat mujhmaiN
To tu sharmiNda hogi
Aura a jaayay gar yeh jazbaa sub main
To shaayud insaaniyut zinda hogi

-----------------------

Naalay-cheekhaiN, Dil-r-bismil-ghayal dil,Lubraiz-e-zehar-zehar say bhara[b]
Reply With Quote
  #2  
Old 05-01-2008, 12:38 AM
Brijinder
 
Posts: n/a
Default Tzaad

Tzaad

YaadoN kay bawaNdar say uth rahaiN hai Takh_yul ki sar zamiN pay
Barq bau kay chamkta hai teri afsurda haNsee ka chehra
Honay lagi hai teray naaz-o-karam ki rimjhim
Meri takhleeq maiN main woh pehli barsaat si soundhi khusbu aa rahi hai

Tanha bahut tanha hai dil teray jaanay kay baad
SaMbhla nahi wajood shorishoN maiN bhi doob jaanay kay baad
Zamanaa to samjhtaa hai isay shauq-i-fitoor mera
Har chahray maiN agar dhooNdta hooN teray wajood ki parchaiNaN
Aur uqta kay uth aataa hooN phir apnay khyaaloN ki duniya maiN
Siyaah aur siyaah ho jaati haiN phir meri tanhaaiyaaN

Ab tu bani hai kisi ga_ir ki zindagi ka unwaaN
Ab teri raataiN uski baahoN main basi rehti haiN
Ab na us ulfat ki haqeeqat baqi
Phir bhi nadaan umeedaiN dil maiN baniN rehtiN haiN

Puchta hooN maiN aksar apni talkh raatoN say
Ki kya hai aqaayud-i-mehabbat ki asaas
Kya hai yeh rasoomaaat maiN lipta ik shuq-i-bekaar
Kya hai yeh ishq kay naam pay paltay huay pazmurda ahsaas

Kya hai yeh mehabbat yeh mehabbat ki tashheeer
Kadam bar kadam samjotoN ki besood taameer
Kya hai yeh jis-o-rooh kay alag alag meyaar
Kya hai parstish pay palta yeh falsafa-i-taqdeer

Thehar ab zauq-i-talab thehar
Aaj na yeh baat baat uthaa
Aaj ki raat barstaa hai gujishta mehabbat ka jaadoo
Aaa ki raat kuch na keh kuch na sunaa
----------------

Meanings:Tzaad: Takraav
Takh_yul- Imagination(kalpana), Barq-lightening,Afsurda-Udaas, Takhleeq-rachna,creation
ShorishoN-kolahul(noise), Aqqayud-e-muhabbat-prem kay prati vishwaas,
Rassomaat- rasmaiN, Asaas-foundation, Pazmurda-half dead
Tashheer-Advertisement, Besood taameer-useless constrruction
Mayaar-parameters, Phalsupha-e-taqdeer-philosophy of fate
Gujishta-past[b]
Reply With Quote
  #3  
Old 05-09-2008, 09:52 PM
Brijinder
 
Posts: n/a
Default Apnay batay kay naam

18 saal pehlay likhi eik nazm lay kar haazir hua hooN.Umeed hai pasaNd aayaygi.

APNAY BATAY KAY NAAM

NanhaiN pairoN pay dorta bachpan
HaNsta gaata muskurata bachpan

Teri kilkaarioN main sabaaN kay jhoNkay
Teri shokhi main bahaaroN kay aNdaaz
Teri udaasi say tarap jaayay kahkashaaN saari
Teri tutlahat main raagoN ka riyaaz

Koi Suqraat bhi kya teray zauq-e-talab kay aagay
Teri masti ki raqs maiN ho jaisay hyaat
Teray laboN pay khailti hai aisay shffaaf haNsi
Ki sharma jayay issay parioN ki bhi zaat

Tu hai meray jism-o-rooh ka kalaam
Teri ghardish main meri hasti ka nizaam
Tujhsay Hai masrrat kay phir raushan chiraagh
Teray irtiqa main nihaaN meray teerath-o-dhaam

Aur Ai meray lakht-e-jigar
Yeh hai khud say ahad mera
Ki na ban jayay baar tera
Yeh tamaam pyaar mera
Aur parwaazoN main teri
Na ho meri tamnnaoN ka beseraa
__________________
Meanings:
Riyaaz-abhyaas(excercise),Zauq-e-talab-Quest to know
Raqs-dance, Saffaf-swach(clear,pure), Kalaam-rachna
Ghardish-parikrama(revolve),Nizaam-Vayvashta,bandobast
Massarat-khusi, Irtiqa-tarraki,development,NihaaN-nihit,chupa hua
Baar:bhaar
Reply With Quote
  #4  
Old 05-16-2008, 05:05 AM
Brijinder
 
Posts: n/a
Default Ishq

Ishq


Ishq junooN bhi hai sanjeedgi bhi hai
Yeh hawis bhi hai pakeezgi bhi hai
Shokhi bhi hai ishq-
Baanki adaaoN pe lutnay ka naam bhi hai
Rooh-e-irtqa-e-dil-o-dimagh bhi-
Zindagi ko samjhnay ka naam bhi hai
Ishq masroofiat bhi fursat bhi hai
Ishq qurbat bhi aur furqat bhi hai
Ishq rif_at bhi aur wus_at bhi hai
Aur ishq kabhi faqt chahat bhi hai
Yeh masoomiyat bhi rikhshandgi bhi hai
Bosa hai to kabhi bandgi bhi hai
ZamiN bhi hai aur aasmaN bhi hai
Magar ufaq ka ismay nishaN bhi hai
Kabhi bistar ki salwaton sa-
To kabhi mandir ki moortoN sa
Kabhi uryaanioN ka shaida
To kabhi Meera-o-Mariam ki soortoN sa
Ishq rog bhi magar mudawa bhi hai
Ishq parastish bhi magar da_awa bhi hai

RishtoN say sada juda hai ishq
Isliyay hi bana khuda hai ishq
---------------------
Meaning:
Rooh-e-irtqa-e-dil-o-dimagh -ehsaas aur khyaaolon ki tarakki ki aatma
furqat-Judai
rif_at -uNchai
wus_at -vishaalta
rikhshandgi- masti
ufaq -Horizon
uryaanioN-nudity
Reply With Quote
  #5  
Old 05-22-2008, 10:21 PM
Brijinder
 
Posts: n/a
Default Ishq-2

ISHQ-2

AhsaasoN ki ghurbat ka muqaam hai
Ishq jab benoor perstish ka sabub ban jayay
Hawas ki hud say aagay jiska koi da_ava nahiN
Us ahsaas ka shumaar zikr-e-muhabbat maiN kyuN aayay

Ishq nighaahaiN milnaiN say hi nahiN pa laita apna wajood
Bahut mushkil hotay haiN in raahoN kay usool
Koi jab ban pehchaan apnay khyaaloN ki milay
Jab lehraayay kisi chehray maiN apnay ahsaaoN ki pehnaai
Maaini ishq kay tab jalwagar ho kay miltay haiN
JismoN ki dosti phir bus hawas ki bunyaad nahiN
Muhabbat ka kudrati sabub ho kay milti hai

Woh jo kehtay haiN ki jazbaat kisi usool ka haamil nahiN
Khumaar-e-dast-junooN tak say bus wabasta haiN
Un past roohoN say jo na hui tai ishq ki bulaNdiaN
Hawas-o-benoor parstish ko ishq ka paikar diya

Aur sadioN say yahi unka beemaar paimaanaa
Ishq bun kay reh gaya bus ik harf-e-mujrmanaa
Utho tehzeeb-e-nau kay humraaho
Ishq ko phir say khoya maayni lauta do
Aur duniya ko yeh samjha do
Ki-
Jazbaat ka hospur tarjuma hai Ishq
Isliyay hai banaa khuda hai ishq
-----------------------------------------

Meaning:
Benoor parstish-Blind devotion, Pehnaai-Vishaalta(bigness)
Khumaar-e-dasht-junooN- Diwaangi kay jaNgal ka nashaa
Harf-e-mujrmanaa- apraadhpoorn shabd, Tehzeeb-e-nau-new world,Hoshpur-conscious
Reply With Quote
  #6  
Old 05-31-2008, 09:58 PM
Brijinder
 
Posts: n/a
Default Wasl kay woh lamhay

Wasl kay woh lamhay

Meray kaandhay pay apna sar rakhay
Band aankhoN maiN kai khwaab liayay
Larazaty huyay lub aaNchal maiN chupayay
Aur jazboN kay sad-sailaab liayay

Meri kameez kay buttonoN say khailti ungliaN teri
Chayar rahi ho jaisay kisi raag ki dhun
Teray aarizoN pay har dum badlatay taassur
Rahi ho kudrat jaisay koi jaadu sa bun

Khaloos itna ki paimaana-e-shakhsiyat jayay chalak
Saadhgi aisi ki milay usmaiN Mariam ki jhalak
Lutaanay lago jab tum apni adaaiN nasheeli
Utar aayay Menaka jaisay chor kar apna falak

Khusboo teray badan ki lagay sharaab mujhay
TujhmaiN mil jayay har swaal ka jwaab mujhay
Aur jab pyaar say bulao tum mujhko "Sonu"
koi Mil jayay jaisay azeem khitaab mujhay
------------------------------

Meanings: Taassur--Bhaav,Khaloos-warmth,paimana-e-shakhsiyat-personality ka jaam,Menka-Mythological charactor known for her seductive powers,Falak-sky, azeem-bahut bara,Khitaab-upadhi like padam shri etc.

--------------------------------------------------------------------------------
Reply With Quote
  #7  
Old 06-18-2008, 09:57 PM
Brijinder
 
Posts: n/a
Default Hadd-e-fikr say aagay

Hadd-e-fikr say aagay

Swaal haiN jwaab haiN
Khwaab khwaab khwaab haiN
Halaal na haraam hai
Afqaar kay saraab haiN

Hyaat la-jwaab hai
Aur sabko na-gwaar hai
Hyaat la-hadood hai
Par rooh girftaar hai

Hyaat khud maqaam hai
Aur aadmi khwaar hai

Khwaab bhi yaqeen haiN
Yaqeen bhi to khwaab haiN
Swaal haiN jwaab haiN
Khwaab khwaab khwaab haiN
------------------

Brijinder “Sagar”
Auckland, New Zealand

----------------------

Meanings:
Halaal—religiously approved
Haraam—anathema,religiousely not sanctioned
Saraab- Mirage
Afqaar—thoughts
Hyaat—life
La-hadood- without limits(boundaries)
Maqaam—Manzil
Reply With Quote
  #8  
Old 06-29-2008, 10:41 PM
Brijinder
 
Posts: n/a
Default Bekhudi

Bekhudi

Ik mauj-e-samndar-e-kaynaat hai zindagi
Khud hi jawaab aur swaalaat hai zindagi

Khud ki talaash yeh safar-e-hyaat
Abhi din ki aarzu ab justju-e- raat

Kuch jaani anjaani raahon pay
UmroN kay qaafilay
Ghardish-e-doraaN main pinha manzilaiN
Kabhi manzil ka pa laina
Phir us say ukta jaanaa
Yeh shauq-e-manzil nahi
Shayud jeenay ka bus bahaanaa

Jab bar gayi bahut tanhai
Banaya phulsupha-e-khudai
But banayay banai azaanaiN
Phir sajaai rishton ki dukaanaiN

Jab jab bhi khud say uktaiya insaaN
Daur-e-wehshat main laut aayaa insaaN

Is hajoom-e-zindagi main tanha hai har koi
Bus girafat-e-khwaab-e-bahaanaa hai har koi

Ik bhatkan umr kay jaNgloN main
Liyay bekasi-e-namaloom diloN main
Har koi jiyay jaataa hai
Dard-o-masarrat kay ajab saNgam ko
Unwaan-e-zindgai diyay jaataa hai

--------
Meanings: mauj-e-samanadar-e-kaynaat-wave in the sea of universe,ghardish-e-dauraN-revolution(movement of zamana,Pinha-chupa hua,Ghirfat-e-khwaab-e-bahaanaa--caught in the web of deception
Reply With Quote
  #9  
Old 07-08-2008, 10:48 PM
Brijinder
 
Posts: n/a
Default Nietzsche

Nietzsche

Siyaah hai raat bahut sar chupayay baitha hai mahtaab kahiN aasmaanoN main
Woh door door tak haiN afsurda-nasheeN sitaaroN kay lashkar
KahkashaN Saari sharmsaar si huee firti hai


Woh pashymaN sa khra hai Tamm_dun ki na-deeda aankhoN ka swaal
KhwaaboN pay jhapat rahay haiN samaajoN kay uqaab
Hyaat roti hai zaar zaar
Taareekh junooN ka sung liyay hawaaoN ko soongha karti hai
Phir say hai raunaq-e-jashn ujray huay zehanoN main
Aaj phir qatl hua hai ik bedaar insaaN


Woh khaloos-o-ikhlaaq ka rasiya
Woh aashiq khird ki baharoN ka
Mar raha hai who luta kay aab-i-zeesat apna
Aur kehkehay lagaataa hai kargas raigzaaroN ka

Sadaaqat phir marsiakhwa hai aaj
Qaaynaat phir say Siyaah hai aaj

Meanings:
1.Afsurda-nasheeN- Shok- magn
2.KehkeshaN-aakaashganga (milky way)
3.PeshaymaaN-sharminda
4.Tamdd_un-sabhiyata (civilization)
5.Hyaat-jeewan
6.Bedaar-awakened
7.Khloos-o-ikhlaaq- intensity and truth
8.Khirad-Aqal (intellect)
9.Aaab-I-zeesat-water of life
10.Kargas-vulture
11.Sadaaqat-truth
12.Marsiyakhwaah-in grief
13.Qaaynaat-universe
Reply With Quote
  #10  
Old 07-25-2008, 10:03 PM
Brijinder
 
Posts: n/a
Default Apni Apni Geeta

Apni Apni Geeta

Hum tum dono vidrohi haiN saathi
bahut joojhay haiN is aatmik ran-ksheshtr maiN
MaiN nahiN jaanta k tumhaiN ahsaas hai k nahiN
magar maiN nay svaiN ko kai baar
PrashnoN kay aagay sir jhukaayay paayaa
Meray uttar niruttar ho gayay wahaaN
Tathaa kai baar
Bahut anlari laraaioN kay bhi
meray aparipakv unmaad nay
Vijay-ghosh kar daalay
Aur usi unmaad nay bahut baar
Rondi vichaar-raahaiN kai
Apni is madmast aakulta maiN
Phir pataa bhi nahiN
K kab somya muskaan
Vibhats ho gayi
bahut baar aisa apnay saath
aatmik ran-kshetr maiN
KyuNki shayud hum
Kshma shabd say aparichit thay
V apni saMvednaaoN par sharmiNda thay
Aur unhain apny ghar chupa kar
Yudh-sthal aayay thay
Isliyay veh vidroh kab kab
ban jaataa tha matr updrav
Hum na jaan sakay
paraNtu yeh bahut pehlay ki baat hai
Tumhara to pata nahiN
Magar main apnay saaray kshat-vikshat uttar
Apnay saath laayaa tha
Aur sach maano
Unkay rakt-bharay chayheroN main
Main naiN aik jeevaNt uttar paayaa
Aur tabhi prashnoN say yudh
Ki vayarthtaa
V uttaroN ki aakaNksha say
Bahar maiN tha

Satya shabd aur uski
Tamaam vaichaarik saNgaaoN say paray
satya ki jeevaNta maiN
Us din say
Vidroh mera saMvedansheel hai,saathi
Adhikaar v uttardaayitv
kay prati smaan sajag

Tumhaaray vidroh ka kya hua
MaiN nahin jaantaa???
Reply With Quote
Reply


Thread Tools Search this Thread
Search this Thread:

Advanced Search
Display Modes

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

vB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off
Forum Jump


All times are GMT. The time now is 02:20 PM.


UNLIMITED Web Hosting India By Web Hosting Jack
Enjoy Shayaro ki Shayari Collection !!