![]() |
|
#31
|
|||
|
|||
|
Hum tum dono vidrohi haiN saathi
bahut joojhay haiN is aatmik ran-ksheshtr maiN MaiN nahiN jaanta k tumhaiN ahsaas hai k nahiN magar maiN nay svaiN ko kai baar PrashnoN kay aagay sir jhukaayay paayaa Meray uttar niruttar ho gayay wahaaN Tathaa kai baar Bahut anlari laraaioN kay bhi meray aparipakv unmaad nay Vijay-ghosh kar daalay Aur usi unmaad nay bahut baar Rondi vichaar-raahaiN kai Apni is madmast aakulta maiN Phir pataa bhi nahiN K kab somya muskaan Vibhats ho gayi bahut baar aisa apnay saath aatmik ran-kshetr maiN KyuNki shayud hum Kshma shabd say aparichit thay V apni saMvednaaoN par sharmiNda thay Aur unhain apny ghar chupa kar Yudh-sthal aayay thay Isliyay veh vidroh kab kab ban jaataa tha matr updrav Hum na jaan sakay paraNtu yeh bahut pehlay ki baat hai Tumhara to pata nahiN Magar main apnay saaray kshat-vikshat uttar Apnay saath laayaa tha Aur sach maano Unkay rakt-bharay chayheroN main Main naiN aik jeevaNt uttar paayaa Aur tabhi prashnoN say yudh Ki vayarthtaa V uttaroN ki aakaNksha say Bahar maiN tha Satya shabd aur uski Tamaam vaichaarik saNgaaoN say paray satya ki jeevaNta maiN Us din say Vidroh mera saMvedansheel hai,saathi Adhikaar v uttardaayitv kay prati smaan sajag Tumhaaray vidroh ka kya hua MaiN nahin jaantaa??? |
|
#32
|
|||
|
|||
|
Sard-bedard mausam
Sard hai raat bahut Chand say pighal-pighal rahi hai barf chandni Aur utar rahi hai meray takhhyul ki vaadioN main Meray khwaaboN kay jharnoN maiN Meray armaanoN kay goshoN maiN Kohra ban kay ghayray hai mujhay abr-e-tanhai Aur yakhbasta sa ho gaya jaisay mera tamaam vajood Lagta hai is baar Ki garmi-e-jazbaat bhi bacha na payaygi ziNdagi meri Is baar jo aya hai yeh sard-bedard mausam Is baar yeh khatm nahi hoga kabhi..... ---------------- Meaning:1.Takhhyul-kalpana,2. abr-e-tanhai-tanai ka badal, 3.Yakhbasta-jamaa hua(frozen) |
|
#33
|
|||
|
|||
|
Bheer aur pathar maiN naataa bahut puraana dosto
Isliyay zaroori ho gaya zur_at dikhaanaa dosto Ik khwaab ka parinaam hai chaaNd par bhi pahuNchna Mithhaas ko bhi saMbhav hai itihaas banaanaa dosto Koi to uthay bheer ki maansikta kay khilaaf Kisi ko to ab hai yeh sawaal uthaanaa dosto AasaaN nahiN haiN hai maanaa humnay apnay hi pairoN ka safar Khud ko magar hai laazmi khud say milaanaa dosto ----------------- |
|
#34
|
|||
|
|||
|
Sazaa
Na raatoN ko hui naseeb apnay khwaaboN ki tabeer Na din meray nay payaa apnay ujaalon ka humnashiN Na mili sera-e-jahaaN main zeest ko thandi chaaNv Na jazbaat meray nay paayaa aqs apna kahiN Tu to tha mushtaaq haqeeqat ki gawaahi hai Shiddat-e-khuloos magar bani teri tabaahi hai Tunay gaRd main reh kar shaffafi kay geet gaayay Ziqr gulshanoN kay teri barbat pay kiyuN ki aayay Yeh jurm-e-intahha tamddun say hota nahi gawaraa Tareekh kar rahi hai sadion say yeh ishaaraa Aqeedat-o-takddus kay auhaam main thay jo mastoor UriyaaN kar diayay tunay tehzeeb kay woh sub nasoor Ab isliay ta-umr tanhaaion main teh Tu mehfiloN say door parchaion main reh Ja ab tera koi nahiN ------------------------- Meanings: Mushtaaq-one who wants to know Shiddat-e-khuloos-intensity Shaffafi-pure Barbat-a musical instument Jurm-e-intaha-extreme sin Tanddun-civilsation Aqeedat-o-takddus--faith n pious Auhaam-- veham(illusions) Mastoor--chupay huay |
![]() |
| Thread Tools | Search this Thread |
| Display Modes | |
|
|