![]() |
|
#11
|
|||
|
|||
|
Saughaat
Jis tamnna ko jiya tha tanhaioN main kai baar Us ahsaas ki tabeer mili aaj mujhay gha_ir ban kar Woh dulhan to bani baithee thi sakhioN main Woh baraat magar ghar say meray na aayee thi Udhar who ho rahi thi kisi ki umr bhar kay liyay YahaaN yakhbasta waqt tha aur meri tanhaai thi Dost na ajnabi bus ab khalaa main latka sa ik rishta hai Pehchaan kar bhi na pehchaanti hui aankhaiN mera muqaddar hai Jin khwaaboN pay pali hai meray takhyyul ki umr Nazar karta hoon who sub meri dost tujhay Banaa kay mahbbat ki main aakhri saughat ---------------- Meanings: Yakhbasta-jama hua Khalaa-vaccum,shuniya, Takhyyul-kalpana,Imgination |
|
#12
|
|||
|
|||
|
Yakhbasta Waqt Door ufq detaa hai aawaazaiN meray soyay huay jazbaat ko Is ufaan maiN machlataiN haiN kitnay naghmain nikal aanay ko Diwaanaa kiyay daitee hai hai mujhko soz-e-tanhai Aur KhyaaloN ka bojh zehan pay barta jaataa hai Yeh maqaam kaisa Ki khyaal lafaz bantay bhi nahiN aur martay bhi nahiN Bus waqat-e-tanhai aur bojhil hua jaataa hai Door door tak hai sannaataa dil-o-dimaagh pay chaayaa huaa Bus aatee hai ufq say wahi dard bhari aawaaz HaaN ! shayud yeh aawaaz mujhay hosh main laa day JazboN ko jagaa day lafzoN ko banaa day Aur shayud phir say tanhaai Bojh na reh kar pursakoon saath ho jaayay Ki jiska muNtzir rehay mera wajood Meray khyaal aur maiN --------------------- Meanings- Yakhbastaa waqt- Freezed time,Soz-e-tanhaai- pain of lonliness, Ufq-horizon, Pursakoon-peaceful,tranquil,MuNtzir-waiting Report Post |
|
#13
|
|||
|
|||
|
ZABT KI KASAM DI HAI USNAY
Zaahir na ho jayay meri udaasi meri tanhai Meray dil ki kasak aur badan ki angrai Ubhar na aayay chayhray par meri betaabioN kay naqoosh Suna na day kuch meri usko Pyaar say nihaarti aankhaiN Kadam aadtan na chal paraiN uski jaanib Aur ban jayay uski pashymaani ka sabab Zabt ki kasam di hai usnay --------------------------------- |
|
#14
|
|||
|
|||
|
Hijr-o-visaal
Fazaon ko phir vajeh si mil gayee mahakane ki Afsurda badalon mein se chand phir muskuraya hai Takhleeq meri mein phir aaney lagey hain shokhion ke dum Labon pe phir koyee mast nagma ubhar aayaa hai Phir se gaataa hai malhaar saaz-e-zeest mera Phir se chayee hai takkh_ ul pe aarzuon ke ghata Jhumti bal khaati hai barq umeedon ki Phir se wafa ki zard aarizoN mein noor bhaa Meri tanhaee bhi soyee hai aaj umroN ke baad Main bhi khud se mila huin baad muddat ke Dard ki aankhon mein bhi hein aaj massrrat ke aansoo Tamanna ko milay phir se pairhan haqeeqat ke Besood nahin mahabbat ki wus_ ataiN Dil phir yeh mananay ko karta hai Khird phir bebus si khari hai phir jaagney ko karta hai Aaj tu aayee hai to pathra gayee hai shikvon ki zubaaN Kho gyay hain gilon ke bol kahin khalaaon mein Meetha taanaa sa detaa hai beetee udaasee ka chehra "Bhool gayaa hai "Sagar" usey vasl ki shuaon mein" Abhi kuch pal mein toot jayega waqt-e-vasl ka dum Phir se laut jayengey hum liye majboorion ke daaman Tu meri ho ke bhi meri na hogi kabhi Teri majboorian hain yeh duniya ke bemaar aqayud Main bhi majboor huun in haalaat ke haathon humnufs meri Aatee rhaa karo milnay jab talak mumkin hai Kyuon na tab talaq ishq ko apnay vajah miltee rahey jeeney ki __________________ Afsurda-Udaas, Takhleeq-Rachna, saaz-e-zeest : instrument of life takkh_ ul -Kalpana, barq- Lightening aarizoN- Cheeks, pairhan- libaas Besood-useless, wus_ ataiN-Vishaalta Khird-Intellect, Junoon-passion,diwaangi shuaon-rays, waqt-e-vas- Milan ka waqt aqayud- usool aur riwaaz humnufs- meri jaan(beloved), |
|
#15
|
|||
|
|||
|
Maddah Say-2
YaqeeN khud pay to mujhay hi nahiN TumhaiN kyuN mujh say aqeedat ho Fiqr meri maiN shaamil haiN Hadd-e-junooN say paray tak kay bhi khyaal MaiN khwaaboN ko rang-e-bu say Taraashnay ki jurrat rakhta hooN MaiNay daikhay haiN hawas maiN pakeeza jalway Aur taqaddus maiN fahaashi kay imqaaN MaiN taraadeed ki hooN saraapaa tasveer Diwana hooNsaudai hooN aur na jaanay kya kya MaiN ajeeb shakhs hooN meray dost Soch kay baraanaa mujh tak dosti ka haath. --------------------------------------- Rang-e-bu-- Colour of the smell.This metaphor is to convey my sense of experimentation,my quest to explore the unconventional Maddah-admirer, Aqeedat--devotion,Taqaddus-pious,fahaashi--vulgarity, Taraadeed-contradiction,Saraapaa--from head to toe |
|
#16
|
|||
|
|||
|
Bus aur nahiN...
Shikwa na shikayat Na jazboN ki inayat Khilkhilahat na chulbulahat Kulbulahat na kasmsahat Na jismoN ki garmiaN Na baatoN ki narmiaN Na aakhoN ki woh baataiN Na khwaaboN maiN doobi raataiN Na teray husn ka barsay mujh pay jaadoo Na meray she'r karaiN jazbay teray bekaboo Jab besaakhta shokhiaN barsaiN Ab to un paloN ko hum tarsaiN Dil-o-jaaN udaas aur jam say gayay haiN jazbaat Kitni berang-o-bevajah si chal rahi hai hyaat ------------------------------------------ Last edited by Brijinder : 11-25-2008 at 09:05 PM. |
|
#17
|
|||
|
|||
|
Teray naam
Jab tu meri aagosh maiN hoti hai Teri admundhi aankhain Teray laraztay huay hoNt Daitay hain bahut si ankahi baatoN ka pataa Teray jism ki haraarat UnglioN ki shraarat NihaaN jaanay kitnay maikhaanoN ka nashaa Jhatak kar khol daiti ho Jab tum ghanay syaah gaisu Aur bar jataa hai un paloN ka khumaar Phir shiddat say woh jazba Hai rooh tak mehsoos hotaa Kartay hain jism jab us pyaar ka izhaar Purmaaeni ho jaati hai meri hayaat Hoti hai beshak mukhtsar si hamari mulakaat Jab tu meri aagosh maiN hoti hai!Sach! Meri zad maiN hoti hai jaisay saari qaaynaat ------------------------- |
|
#18
|
|||
|
|||
|
I shall be grateful if someone can write it in devnagri for me and also tell me how to copy paste it elsewhere.
Bus Ab Aur naheeN Ab jab ho chuka maut ka taNdav Ab jab dhul gayay haiN lahu kay daag Bujha di gayi hai Hotel ki aag Aur kuchal diyay woh vishdhar naag Dabrayaa sa jeevan abhi Pasaar hi raha hai phir apnay paNkh Lekin aakrosh ka aavaig- Maha-aavaig bhi lay raha hai karvataiN Hamaaray is aakrosh ki baagdor Hamaaray dhaarmik n Raajnaitik neta apnay haath maiN laingay Is baar- Is aakrosh ki baagdor hum apnay vivek kay haath maiN daingay Kab tak daikhaiNgay Vibtstaa ka nanga nrtya ! Kabhi hiNdu trishooloN pay uchlatay rakt-raNjit bhroon To kabhi musalmaan talwaaroN say katati nireeh chaatiaN Kabhi baMboN say kshat-vikshat laashoN kay dhair To kabhi at_ haasoN kay madhyasth ziNda jaltay huay log Kab tak diakhaiNgay ! HaaN! is baar yeh aakrosh Banayga"Bus aur nahiN ka"ka udhghosh Ghrnaa v dharam ki raajneeti kay khilaaf Aik spasht "bus aur nahiN" ka rosh Bahut ho chuki aNdhay pratishodh ki parMparaa Tor di aaj humnay is uNmaad ki shrankhlaa DharmoN ki siyaasat Zehar ki viraasat In subsay iNkaar ki aawaaz hai yeh- "NahiN bus aur nahiN"ka aavaahan Drur iraaday aur chetan vichaar Liyay hai hamaraa aakrosh aaj BaMboN-golioN say maaraiN maasoomoN ko jo hatyaaray DaNgoN maiN khul kar khalaiN jo maut ki holi Ya mishnarioN par hoN jganya apraadh Apnay dharmoN kay naam lagaaiN maanvtaa ki boli In subhi kay khilaaf hai- Hamaray is aakrosh ki aawaaz Khuli chaitaavni hai yeh- Ghrnaa kay har vyaapaari ko NrashaNshtaa kay pujaari ko Kisi bhi dharam ya vichaardhara kay naam NahiN sahaiNgay hum koi bhi ab qatl-e-aam "NahiN bus ab aur nahieeN" --------------------------------------------- |
|
#19
|
|||
|
|||
|
बस अब और नहीं
अब जब हो चुका मौत का तांडव अब जब धुल गये हैं लहू के दाग बुझा दी गई है होटल की आग और कुचल दिये वोह विषधर नाग दब्राया सा जीवन अभी फैला ही रहा है अपने पंख लेकिन आक्रोश का आवेग महा-आवेग भी ले रहा है करवटें हमारे इस आक्रोश की बागडोर हमारे धार्मिक न राजनितिक नेता अपने हाथ मैं लेंगें इस बार- इस आक्रोश की बागडोर हम अपने विवेक के हाथ मैं देंगें कब तक देंगे विभत्सता का नंगा न्रत्य कभी हिंदू त्रिशूलों पे उचलते रक्त-रंजित ब्रून तो कभी मुसलमान तलवारों से कटती निरीह चातिआं कभी बम्बों से क्षत -विक्षत लासन के ढेर तो कभी अथासों के मध्यस्त जिंदा जलते हुये लोग कब तक देखेंगे ! हाँ इस बार यह आक्रोश बनेगा "बस और नहीं का उद्घोष" घरना व् धर्म की राजनीति लके ख़िलाफ़ एक स्पष्ट "बस और नहीं "का रोष बहुत हो चुकी अंधे प्रतिशोध की परम्परा तोर दी आज हमने इस उन्माद की श्रृंख्ला धर्मों की सियासत ज़हर की विरासत इन सबसे इनकार की आवाज़ है यह- "नहीं बस और नहीं" का आवाहन द्रुर इरादे और चेतन विचार लिये है हमारा आक्रोश आज बम्बों-गोलिओं से मारें मासूमों को जो हतियारय दंगों मैं खुल कर खेलें जो मौत की होली या मिशंरिओं पे हों जघन्य अपराध अपने धर्मों के नाम लगें मानवता की बोली इन सुब्के ख़िलाफ़ है- हमारे इस आक्रोश की आवाज़ खुली चेतावनी है यह- घरना के हर व्यापारी को न्रशंसता के पुजारी को किसी भी धरम या विचारधारा के नाम नहीं सह्येंगे हम कोई भी अब क़त्ल-ऐ-आम "नहीं बस और नहीं" ------------------------------------------------------- |
|
#20
|
|||
|
|||
|
Bekhudi
Ik mauj-e-samndar-e-kaynaat hai zindagi Khud hi jawaab aur swaalaat hai zindagi Khud ki talaash yeh safar-e-hyaat Abhi din ki aarzu ab justju-e- raat Kuch jaani anjaani raahon pay UmroN kay qaafilay Ghardish-e-doraaN main pinha manzilaiN Kabhi manzil ka pa laina Phir us say ukta jaanaa Yeh shauq-e-manzil nahi Shayud jeenay ka bus bahaanaa Jab bar gayi bahut tanhai Banaya phulsupha-e-khudai But banayay banai azaanaiN Phir sajaai rishton ki dukaanaiN Jab jab bhi khud say uktaiya insaaN Daur-e-wehshat main laut aayaa insaaN Is hajoom-e-zindagi main tanha hai har koi Bus girafat-e-khwaab-e-bahaanaa hai har koi Ik bhatkan umr kay jaNgloN main Liyay bekasi-e-namaloom diloN main Har koi jiyay jaataa hai Dard-o-masarrat kay ajab saNgam ko Unwaan-e-zindgai diyay jaataa hai -------- Meanings: mauj-e-samanadar-e-kaynaat-wave in the sea of universe,ghardish-e-dauraN-revolution(movement of time,Pinha-chupa hua,Ghirfat-e-khwaab-e-bahaanaa--caught in the web of deception |
![]() |
| Thread Tools | Search this Thread |
| Display Modes | |
|
|