![]() |
|
#1
|
|||
|
|||
|
Keemiya-2
Kal kaanoN maiN meray keh gayi chupkay say taareekh Har baghawat aghaaz-e-naubaghawat hai Kal ho jaingay jab purany is baghwat kay maseeha Kal aa jayga jab in usooloN ko har haal maiN zinda rakhnay ka fitoor PaighMbar-e-baghawat ka har ahud TaNgi-e-nazar-aadmi kay sabub badal jaiga Tab Tegh-e-zulm kay neechay Deemagh-e-aadmi maiN nayee baghawataiN janam laiNgi BaghawataiN aayeeN kitni fikr-e-insaaN wahiN qayum Koi samjhay na itna sa kyuN kar Ki daur-e-waqt mornay say kuch nahi hota Fitrat-e-insaaN samajhna zaruri hai Yeh janoon-e-baNdagi-e-ahud-e-mustar Hai bus zulm-o-wehshat ki fitrat SamuNdar-e-farda kay haiN abhi maqaam kitnay Har din hai naya har raat nayee Mauj-e-insaaN ko koi qafus kya rokay Ilm-o-aazaadi libaas iskay Ishq-o-dard ahsaas iskay. ------------------------ Meaning: taareekh-History, aghaaz-e-naubaghawat -start of new revolution, Tegh-e-zulm kay neechay--under the sword of zulm, janoon-e-baNdagi-e-ahud-e-mustar-Beet chukay kal ko poojnay ka janoon SamuNdar-e-farda -ocean of future, Mauj-e-insaaN--Maanav roopi lehar(wave like of humanbeing |
|
#2
|
|||
|
|||
|
Please give your valuable feedback.
Regards |
![]() |
| Thread Tools | Search this Thread |
| Display Modes | |
|
|