View Single Post
  #34  
Old 09-04-2009, 07:27 PM
Brijinder
 
Posts: n/a
Default Sazaa

Sazaa

Na raatoN ko hui naseeb apnay khwaaboN ki tabeer
Na din meray nay payaa apnay ujaalon ka humnashiN
Na mili sera-e-jahaaN main zeest ko thandi chaaNv
Na jazbaat meray nay paayaa aqs apna kahiN

Tu to tha mushtaaq haqeeqat ki gawaahi hai
Shiddat-e-khuloos magar bani teri tabaahi hai
Tunay gaRd main reh kar shaffafi kay geet gaayay
Ziqr gulshanoN kay teri barbat pay kiyuN ki aayay

Yeh jurm-e-intahha tamddun say hota nahi gawaraa
Tareekh kar rahi hai sadion say yeh ishaaraa

Aqeedat-o-takddus kay auhaam main thay jo mastoor
UriyaaN kar diayay tunay tehzeeb kay woh sub nasoor

Ab isliay ta-umr tanhaaion main teh
Tu mehfiloN say door parchaion main reh
Ja ab tera koi nahiN
-------------------------
Meanings:
Mushtaaq-one who wants to know
Shiddat-e-khuloos-intensity
Shaffafi-pure
Barbat-a musical instument
Jurm-e-intaha-extreme sin
Tanddun-civilsation
Aqeedat-o-takddus--faith n pious
Auhaam-- veham(illusions)
Mastoor--chupay huay
Reply With Quote