View Single Post
  #33  
Old 08-17-2009, 05:28 AM
Brijinder
 
Posts: n/a
Default hindi gazal

Bheer aur pathar maiN naataa bahut puraana dosto
Isliyay zaroori ho gaya zur_at dikhaanaa dosto

Ik khwaab ka parinaam hai chaaNd par bhi pahuNchna
Mithhaas ko bhi saMbhav hai itihaas banaanaa dosto

Koi to uthay bheer ki maansikta kay khilaaf
Kisi ko to ab hai yeh sawaal uthaanaa dosto

AasaaN nahiN haiN hai maanaa humnay apnay hi pairoN ka safar
Khud ko magar hai laazmi khud say milaanaa dosto
-----------------
Reply With Quote